Mujhko ab bhi yaad hain wo saari ammi ki baatein
Daantna mujhko baat baat par, pyaar ki wo barsaatein
Khailna merey saath saath aur phir padney ko kahna
Meri khushiyon ki khaatir abbu se ladtey rahna
Meri gustaakhi pe unka zor se wo jhallaana
Abbu ke aaney par unko kuchh bhi na batlana
Thaam ke ungli meri mujhko bahar lekar jaana
Seedha rasta kya hota hai ye mujhko samjhana
Pyaar se mujhko paas bithaa kar sar pe tail lagaana
Phir kahna ki beta dekho kaam sabhi ke aana
Dekho beta geebat gussa achchi baat nahin hai
Ye sab kaam galat hain betey aur ye kaam sahi hai
In kaamon ko karke tum achchey insaan banogey
Is rastey par mat chalna warna beimaan banogey
Paisey ka izzat ke aagey koi mol nahi hai
Bhool na jaana ye baatein jo mainey aaj kahi hai
Blogged with the Flock Browser